ab to firaq-e-subh mein bujhne lagi hayat bar-e-ilah kitne pahar rah gai hai raat har tirgi mein tu ne utari hai raushni ab khud utar ke aa ki siyah-tar hai kaenat kuchh aaine se rakkhe hue hain sar-e-wajud aur in mein apna jashn manati hai meri zat bole nahin wo harf jo iman mein na the likkhi nahin wo baat jo apni nahin thi baat