ab to jugnu bhi nahin rah dikhane wala

ab to jugnu bhi nahin rah dikhane wala
shahr mein qaid hua ganw se aane wala

phir wahi arz meri haqq-o-sadaqat wali
phir wahi uzr tera hila bahane wala

farsh-e-gul jaan ke kharon pe qadam rakhta hun
kaun hai mere liye palken bichhane wala

tum dikhate phiro apna gul-o-gulzar badan
koi marham nahin zakhmon pe lagane wala

mustaqil dard ka darman ho wo tadbir sujha
aarzi hal na bata kaam chalane wala

saf-goi hai mera aib ye mana lekin
pahle zakhmon ko gine aib ginane wala

moajiza khub hua jang bhi hum jit gae
khel khela bhi nahin tera nishane wala

chahta hun ki 'zafar' ghol ke pi jaun use
wo jo nuskha hai sar aankhon se lagane wala


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close