hawas-o-hosh pe chhaya KHumar kis ka hai

hawas-o-hosh pe chhaya khumar kis ka hai
koi nahin hai to phir intizar kis ka hai

agar shabih tumhaari hai aaine jaisi
to phir ye pairahan-e-dagh-dar kis ka hai

hamare zakhmon pe aansu hain kis ki aankhon mein
hamare sog mein sina-figar kis ka hai

wahi bataen jo aaludgi ko rote hain
zamin se ta-ba-surayya ghubar kis ka hai

pada mila hai kahin ek chand ka tukda
batae kaun ki ye shahkar kis ka hai

khushi pe rone lage aur gham pe hansne lage
dil-e-hazin pe 'zafar' ikhtiyar kis ka hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close