ab to khuda se dar jao pyar-mohabbat kar jao kyon phirte ho aawara ab to khudara ghar jao karta hai ye ishq taqaza apni jaan se guzar jao aakhir us ne kah hi dala meri bala se mar jao chaar dinon ki duniya hai ye kaam achchhe kuchh kar jao sahra mein hain log piyase pani le kar thar jao waqt tujhe samjhata hai ye ab bhi yar sudhar jao khair ko hi phailao 'saghar' mat phaila ke shar jao