phir ehtimam-e-talea-e-na-sazgar hai

phir ehtimam-e-talea-e-na-sazgar hai
phir imtihan-e-gardish-e-lail-o-nahaar hai

phir dil-nashin hai shewa-e-ruswai aah-ah
phir hae hae ruh rag-e-intizar hai

zabt-e-wafa ka phir ye taqaza ki han khamosh
lab par hai phir ye uzr ki dil be-qarar hai

tapka rahi hai rang-e-junun phir hawa-e-shauq
mauj-e-ghubar phir rag-e-abr-e-bahaar hai

phir naqsh-e-yas bol utha ai khusha-fareb
dast-e-hawas mein khama-e-jadu-nigar hai

sun lo pukare kahti hai phir masti-e-khayal
kah do nawed-e-wada-e-didar-e-yar hai

khakistar-e-khayal se chamke sharar-e-shauq
phir intizar-e-jumbish-e-daman-e-yar hai

phir josh-e-khwab-e-bakht-e-siyah ke phire hain din
phir main hun aur fasana-e-shab-ha-e-tar hai

be-rangiyon mein jalwa-e-sad-rang dekhna
khwab-e-adam bhi aaina-e-intizar hai

sab kuchh sahi 'wafa' magar itna bhi soch lo
aalam tilism-e-aina-e-eatibar hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close