ab to khwabon ke hi sahaare hain ye hi le de ke ab hamare hain apna saya talak na tha apna hum ne aise bhi din guzare hain khud ko khwabon ke mol becha hai qarz yaadon ke tab utare hain apna kahne ko yun to duniya hai hum azal se hi be-sahaare hain dard ki chhanw mein chalo 'wahid' tapte mausam ke ye ishaare hain