le uDa rang falak jalwa-e-ranai ka

le uda rang falak jalwa-e-ranai ka
aks hai qaus-e-quzah mein teri angdai ka

is qadar naz hai kyun aap ko yaktai par
dusra nam hai ye bhi meri tanhai ka

ajab andaz se kuchh mohr-e-khamoshi tuti
wasf paida hua taswir mein goyai ka

khul raha hai teri rahmat ki badaulat warna
kaun tha dekhne wala gul-e-sahrai ka

ho gai mere gunahon ki siyahi maqbul
sang-e-aswad pe chadha rang jabin-sai ka

surat-e-yas se aaina-e-hairat ho kar
dekhte rah gae chehra wo tamannai ka

be-khudi dekh ke meri sar-e-mahfil puchha
nam mashhur hai 'kaifi' isi sahbai ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close