ab to lab se na jaega aage

ab to lab se na jaega aage
nale ka zor shor tha aage

dasht-e-ulfat mein rahnuma kaisa
main ne rahbar ko dhar liya aage

dasht-e-ulfat hai garche dur wale
dil se kahta hun ye raha aage

bewafai agar na karti umr
hum dikhate tumhein wafa aage

wo khushamad hi mein gae ghabra
mujh ko kahna tha muddaa aage

dekhna jo na tha so dekh liya
dekhiye dekhte hain kya aage

ishq mein de ke jaan hui ye khabar
aa gaya kuchh diya liya aage

sabr-o-hosh-o-khirad gae dil se
meri aankhon ke ghar luta aage

marg-e-ashiq ki sun ke sab rudad
puchhte hain ki kya hua aage

'salik' aur mai-kashi khuda ki panah
kis qadar tha ye parsa aage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close