achchhi nibhi butan-e-sitam-ashna ke sath ab baad-e-marg dekhiye kya ho khuda ke sath jab se wo sun chuke hain ki hum khwab mein chale nichi nigah bhi nahin karte haya ke sath yun gumrahan-e-ishq hain rahzan ke sath khush goya ki ho liye hain kisi rahnuma ke sath mangon dua-e-marg to aamin kahe adu ab un ki bad-dua hai mere muddaa ke sath yun kahte hain ki tujh ko satae hi jaenge goya ki mujh ko ishq hai apni wafa ke sath ghairon ne be-dili se meri pae muddaa main gum hua na kyun dil-e-hasrat-faza ke sath sharminda-e-butan na hue lakh lakh shukr 'salik' khuda ne hum ko uthaya wafa ke sath