ab to sahra mein rahenge chal ke diwanon ke sath dahr mein mushkil hua jina jo farzanon ke sath khatm ho jaenge qisse kal ye diwanon ke sath phir inhen dohraoge tum kitne unwanon ke sath bazm mein hum ko bula kar aap uth kar chal diye kya suluk-e-narawa jaez hai mehmanon ke sath nafraten phaila rahe hain kaisi shaikh-o-barahman kya shumar in ka karenge aap insanon ke sath un ki aankhon ki gulabi se jo hum makhmur hain ek talluq hai qadimi hum ko paimanon ke sath har taraf ku-e-butan mein hasraton ka hai hujum ek dil lae the hum to apna armanon ke sath kal talak danaon ki sohbat mein the sab ke imam aaj kaise sust hain yun shaikh na-danon ke sath un ki aankhen ek taraf ye jam-o-mina ek taraf kis tarah gardish mein hain paimane paimanon ke sath aashiqon ke dil mein shab fanus raushan ho gae shama ka jina hai lazim apne parwanon ke sath haif gulzar-e-jahan mein gul yagane ho gae lahlaha kar ab rahega sabza beganon ke sath