agar tujh se hun to phir aur kya hun main kis jaisa hun kis kis se juda hun mujhe malum hai kitna bura hun ye kya kam hai ki apna aaina hun koi diwar si tuti hai shayad main andar hi kahin girne laga hun kabhi to samne aaunga apne ki apni rah mein kab se khada hun mujhe ehsas ne ghera hua hai main apne-ap apna daera hun ye mera hath kis ke hath mein hai ye kis ke panw hain jin par khada hun mere alfaz patthar ho gae hain main apne hath se zakhmi hua hun khud apne-ap ko aawaz de kar na jaane 'ashk' kis ko dhundhta hun