ab to shahron se khabar aati hai diwanon ki koi pahchan hi baqi nahin viranon ki apni poshak se hushyar ki khuddam-e-qadim dhajjiyan mangte hain apne garebanon ki sanaten phailti jati hain magar is ke sath sarhaden tutti jati hain gulistanon ki dil mein wo zakhm khile hain ki chaman kya shai hai ghar mein baraat si utri hui gul-danon ki un ko kya fikr ki main par laga ya duba bahs karte rahe sahil pe jo tufanon ki teri rahmat to musallam hai magar ye to bata kaun bijli ko khabar deta hai kashanon ki maqbare bante hain zindon ke makanon se buland kis qadar auj pe takrim hai insanon ki ek ek yaad ke hathon pe charaghon bhare tasht kaba-e-dil ki faza hai ki sanam-khanon ki