hawa kya hashr barpati nahin hai meri sanson ko mahkati nahin hai yahan jazbon ke sote phutte hain nadi aankhon ki barsati nahin hai koi bhi subh jo hamdard nikle koi bhi sham jo ghati nahin hai musalsal ghumne mehwar pe apne ye duniya phir bhi chakraati nahin hai makin sare hain sab ka aashiyana kisi ka mulk ye zati nahin hai kata ek ped aangan ka hamare nahusat ghar se ab jati nahin hai bada ehsan gardish ne kiya ye hamare sath uktati nahin hai