ab to us samt se nafrat bhi nahin aati hai aise haalat ki shamat bhi nahin aati hai hijr se tut ke main aah-o-buka karne laga mujh anadi ko mohabbat bhi nahin aati hai hum muraat ke laeq hi nahin hain shayad hum ko to thik se midhat bhi nahin aati hai ye wilayat hai ki jis rah pe wo chal rahe hain is qadar gir ke to daulat bhi nahin aati hai ghair ke sath wo aaya hai mere ghar 'taslim' waise tanha to musibat bhi nahin aati hai