saz hathon mein uthao to ghazal pesh karun tum nazar mujh se milao to ghazal pesh karun ye hai paigham-e-mohabbat ise chhup kar na suno tum mere samne aao to ghazal pesh karun dur hi dur jalao na mohabbat ke charagh raushni ban ke tum aao to ghazal pesh karun tanha tanha si nazar aati hai duniya meri tum mere pas jo aao to ghazal pesh karun barha tum ne sataya hai mujhe raat aur din mujh ko itna na satao to ghazal pesh karun hum hain wo ishq ke panchhi jo ghazal kahte hain tum ghazal mujh ko sunao to ghazal pesh karun tum ko chaha hai tah-e-dil se yaqinan hum ne tum mere dil mein samao to ghazal pesh karun jhute wadon se tasalli nahin milti hai 'tarun' sachcha aaina dikhao to ghazal pesh karun