ab to wo bhi mujhko talqin-e-shakebai kare

ab to wo bhi mujh ko talqin-e-shakebai kare
koi kis se shikwa-e-ashob-e-tanhai kare

guftugu sab se ba-andaz-e-pazirai kare
aur sau sau tarah mujh se hila-arai kare

kya kare wo bhi ki dastur-e-zamana hai yahi
be-rukhi apnon se ghairon se shanasai kare

kyon hamari chaara-jui ke liye aae koi
kis ko fursat hai ki taklif-e-masihai kare

phir usi ku-e-malamat ki tamanna dil mein hai
aae ab koi hamari himmat-afzai kare

kya mila fankar ko sang-e-malamat ke siwa
kyon lahu dil ka jalae khama-farsai kare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close