zindagi bhar daudta hai baith ja gham kahan kab bolta hai baith ja pahli barish dekh kar barsat ki jaane kya tu sochta hai baith ja is qadar le kar chala bar-e-hayat rasta hi bolta hai baith ja paon khincha hai tera ahbab ne kyon sahaara dhundhta hai baith ja tasht mein lashen saji hain khun hai ye siyasi nashta hai baith ja jhut ki duniya mein sab uljhe hain tu baat sachchi bolta hai baith ja ek diye ne jal ke tufan se kaha mujh se dar kar kanpta hai baith ja nanhe bachche ko tilawat se na rok kan mein ras gholta hai baith ja dekh 'asad' ajnabi ek shakhs se rishta-e-jaan jodta hai baith ja