ab to wo mail-e-jafa bhi nahin dil mera un ko bhulta bhi nahin nigah-e-naz kah gai sab kuchh aur kahne ko kuchh kaha bhi nahin kaun laega tab-e-lutf-o-karam dil to shaista-e-jafa bhi nahin yaad to teri khair kya karte bhul hi jate ye hua bhi nahin jaane kyon ji rahe hain ahl-e-wafa aasra sa kuchh aasra bhi nahin yun to pita nahin kabhi 'nashad' tum pilao to parsa bhi nahin