dil jo shaista-e-jafa na hua lazzat-e-gham se aashna na hua tu kabhi pas se juda na hua dil magar surat-ashna na hua zindagi ka maza wo kya jaane jis ko marne ka hausla na hua hum ko shikwa raha judai ka aur tu pas se juda na hua tum se kahne se faeda koi khair jo kuchh hua bura na hua sochte hi rahe kahin na kahin na hua arz-e-muddaa na hua yaad karte hain husn-o-ishq hamein mar ke bhi khatm silsila na hua dam-e-ulfat mein jo phansa 'nashad' ho ke aazad bhi riha na hua