ab to ye soch ke bhi dil mera ghabraata hai subh ka bhula hua sham ko ghar aata hai ek ek karke bujhe jate hain rakhshanda nujum ek tu hai jo ba-har-samt nazar aata hai ab tera khwab bhi ek paikar-e-simin ki tarah aasmanon se mere dil mein utar aata hai lazzat-e-sang ki khatir hi bayaban se koi chhod kar bagh sar-e-rah guzar aata hai dil ki dahliz se jata hai jo ek marmarin jism har taraf ghum ke ba-dida-e-tar aata hai jism thak kar bhi nahin rah mein rukta pal bhar dil magar us ke shabistan mein thahar aata hai