ai dasht-e-shab-guzar teri aas ka hiran khai mein yas ki jo gira ro padi pawan ja kar dayar-e-marg mein chhod aaiye use jo ghumta hai odhe hue dard ka kafan ab tujh se hi jalaunga ye gul-shuda charagh ai timtimati raat dhale chand ki kiran ab tere khat ko dhund raha hun waraq waraq ukta chuka hai harf-o-hikayat se mera man aawaz aa rahi hai fasil-e-najat se teri kami khatakti hai ai mere ham-watan yazdan khata muaf gira ja raha hun main phir aadmi ke bhes mein aaya hai ahrman