ab tujhe hai na ikhtiyar mujhe zindagi hun teri guzar mujhe ras aai teri udasi tujhe aa gaya tera eatibar mujhe pairahan hun teri udasi ka is tarah kar na tar tar mujhe ham-safar to palat gaya lekin rasta de gaya ghubar mujhe lamha lamha basar hui hun main ab kisi taur kar shumar mujhe