ab un ka gham bhi hamein dil-kusha sa lagta hai ye ajnabi to hamein aashna sa lagta hai fareb-khurda-e-rasm-e-wafa sa lagta hai ye zakhm-e-dil ki jo hansta hua sa lagta hai khud apne dil se tarasha hai jo sanam main ne khuda nahin hai wo lekin khuda sa lagta hai mila hai jis ko meri bandagi ka husn-e-khulus wo naqsh-e-sajda tere naqsh-e-pa sa lagta hai kabhi kabhi teri yaadon ki anjuman mein ye dil khud apne aap se rutha hua sa lagta hai rukh-e-hayat ye halka sa ek tabassum bhi gham-e-hayat ka mara hua sa lagta hai badal gai hai ye kis ki nazar khuda jaane rukh-e-hayat badalta hua sa lagta hai ye dagh-e-dil hain ki ai 'badr' hasraton ke sanam khuda ka ghar hai magar but-kada sa lagta hai