zikr-e-jamal-e-subh na kuchh fikr-e-sham hai

zikr-e-jamal-e-subh na kuchh fikr-e-sham hai
afsana-e-hayat abhi na-tamam hai

badmast hai koi to koi tishna-kaam hai
kahne ko mai-kade mein tere faiz aam hai

manzil hai koi khas na koi maqam hai
be-rah zindagi hai magar tez-gam hai

dekho to be-niyaz hai duniya se dard-e-ishq
samjho to ye bhi ek gham-e-dauran ka nam hai

zahid fareb-khurda-e-jannat sahi magar
hum kafiran-e-ishq pe dozakh haram hai

rang-e-bahaar hai na nashat-e-nazara hai
ai baghban salam agar ye nizam hai

'azmat' ye ahl-e-fikr-o-nazar ka hai faisla
wo dard-e-zindagi hai jo apna kalam hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close