ab un ke pas bhi baqi bacha kya main mangun qatilon se khun-baha kya tumhein pachhtawe ka hai rog kafi tumhein de kar karun main bad-dua kya mujhe yun kar ke maujon ke hawale sukun se so sakega nakhuda kya nigah ka uthna tha raazon ka khulna meri aankhon mein tu ne likh diya kya mere baalon se kaliyan noch lenge mere hamdam yahi denge sila kya koi chehra mera chehra nahin hai na-jaane aainon ko ho gaya kya kise yun dhundhti phirti hain har su nigahon ka 'samina' kho gaya kya