kohsaron mein nahin hai ki bayaban mein nahin baghban husn faqat tere gulistan mein nahin mauj-e-dariya ki rawani ki ghataon ka khiram kaun si baat teri zulf-e-pareshan mein nahin tujh se ho tark-e-jafa mujh se wafaen chhuten wo tere bas mein nahin ye mere imkan mein nahin khair dhundlai si thi raushni-e-sham-e-khizan baghban wo bhi to is subh-e-bahaaran mein nahin chhin le saqi-e-be-faiz ke hathon se subu rind kya aisa koi mahfil-e-rindan mein nahin uljhanon ka ho asar kyun na sukun-e-dil par rabt kya ham-nafaso sahil-o-tufan mein nahin khanda-e-gul ho ki ho girya-e-shabnam 'fazil' dastan gham ki nihan kaun se unwan mein nahin