ab un pe meri aah ka hoga asar kahan kya haal hai mera unhen is ki khabar kahan ab un ke dil mein hum se faqiron ka ghar kahan bas dekhiye ke phirte hain hum dar-ba-dar kahan ek mushkilon ki dhup se mera hai samna aasaniyon ka rah mein koi shajar kahan muddat hui ke id mayassar nahin hamein aaya hai chand hum ko hamara nazar kahan bas ai tabib nuskha-e-didar likh mujhe in marhamon se bharta hai zakhm-e-jigar kahan har aan nafraton ka hai pahra gali gali ab hum karen talash mohabbat-nagar kahan har mod par hai ek musibat se samna ab jaane khatm hoga mera ye safar kahan tarik ho chuki yahan 'haidar' ki zindagi us ko nasib ishq ke shams-o-qamar kahan