tha kahan likhna use lekin kahan par likh diya main zamin ka harf mujh ko aasman par likh diya jis ke padhne se rahi qasir bhanwar ki aankh bhi kaun jaane kya hawa ne baadban par likh diya kuchh to kar dariya mere in ko dubo ya par kar kashtiyon ne apna dukh aab-e-rawan par likh diya baith kar ab zard patton ke waraq palta karo tabsira likhne ko mausam ne khizan par likh diya hashr mein khana-kharabi ko thikana chahiye us ne mera nam bhi apne makan par likh diya aur ba-mani hua tashkik ka pichhla nisab kya kahun ahl-e-yaqin ne kya guman par likh diya tum ise kah lo hisab-e-dostan-dar-dil 'faza' hum ne apna nafa bhi lauh-e-ziyan par likh diya