ab wahan kyon mujh ko jata hai dil-e-muztar liye aashiqon ke nam to us ne register kar liye halq se utri to yaad aane laga tauf-e-haram mai-kade mein shaikh sahib ne kai chakkar liye untni par kar liya laila ne duniya bhar ka tour qais sahib dasht mein baithe rahe daftar liye ye budhapa aur huran-e-bahishti ka khayal shaikh ji phirte hain majun-e-shabab-awar liye zindagi dushwar hai atom bamon ke daur mein waqai achchhe rahe jo hum se pahle mar liye aa ke darban ne wahin mera bichhauna kar diya un ke darwaze mein main jab ghus gaya bistar liye lidaran-e-qaum ka ‘ustad’ yun chalta hai kaam qaum par aansu bahae aur daman bhar liye