hum gadhe ko gadha samajhte hain wo hamein jaane kya samajhte hain rah-zano is tarah se kaam karo sab mujhe rahnuma samajhte hain jin ko ghote na lag sake wo log nakhuda ko khuda samajhte hain zindagi bhar ki koshishon ka husul wo mera muddaa samajhte hain log kahte hain bewafa mujh ko aur tumhein ba-wafa samajhte hain chikhte kyon ho hazrat-e-naseh hum tumhaara kaha samajhte hain ye kisi bhediye ke panje hain hum tere naqsh-e-pa samajhte hain ghair se un ka rabt bhi samjhen jo unhen bewafa samajhte hain un ki aankhen jo teri aankhon ko kuchh nahin mai-kada samajhte hain main hun aulad ki jagah 'ustad' jaane ye log kya samajhte hain