ab wahi harf-e-junun sab ki zaban thahri hai jo bhi chal nikli hai wo baat kahan thahri hai aaj tak shaikh ke ikram mein jo shai thi haram ab wahi dushman-e-din rahat-e-jaan thahri hai hai khabar garm ki phirta hai gurezan naseh guftugu aaj sar-e-ku-e-butan thahri hai hai wahi aariz-e-laila wahi shirin ka dahan nigah-e-shauq ghadi bhar ko jahan thahri hai wasl ki shab thi to kis darja subuk guzri thi hijr ki shab hai to kya sakht giran thahri hai bikhri ek bar to hath aai hai kab mauj-e-shamim dil se nikli hai to kab lab pe fughan thahri hai dast-e-sayyaad bhi aajiz hai kaf-e-gul-chin bhi bu-e-gul thahri na bulbul ki zaban thahri hai aate aate yunhi dam bhar ko ruki hogi bahaar jate jate yunhi pal bhar ko khizan thahri hai hum ne jo tarz-e-fughan ki hai qafas mein ijad 'faiz' gulshan mein wahi tarz-e-bayan thahri hai