ab wo aaghosh-e-tasawwur se na jaane pae be-khudi mujh ko kabhi hosh na aane pae hosh is bazm ka parda na uthane pae aane wala koi aape mein na aane pae mujh pe takid mera raaz na ifsha karna khud ye koshish ki ye hargiz na chhupane pae lab pe ho zikr-e-butan dil mein ho allah allah jaan jae magar iman na jaane pae be-khudi ne tera afsana wahin chhed diya tere diwane ke jab hosh thikane pae fitne barpa hon qayamat uthi tufan utthe tere dar se mujhe koi na uthane pae teri izzat ki qasam tere sitam bhi hain karam tu sata ghair mera dil na dukhane pae shauq kahta hai bulane ki hai ye khas ada wo jo kahte hain yahan koi na aane pae dawa-e-ishq-e-haqiqi to kiya hai ai 'yas' aarzu ghair ki ab dil mein na aane pae