yaqinan koi gahra rabta hai

yaqinan koi gahra rabta hai
wo jo mud mud ke mujh ko dekhta hai

nikal kar ja nahin sakta kahin bhi
rag-o-pai mein wo meri ghumta hai

hai kaun apna paraya is jahan mein
parakhne se ye andaza hua hai

hawa se khushk patte naghma-zan the
teri aahat ka dhoka ho gaya hai

muqaddar ka hum apne kha rahe hain
kisi ka rizq kab chhina hua hai

mujhe murda na samjho ghafilo tum
ragon mein khun meri daudta hai

batata hai mera rahbar usi ko
jo rasta khud mera dekha hua hai

kiya habil ne qabil ka khun
yahi duniya mein pahla saneha hai

mitata hai wo mera nam likh kar
ki jaise ungliyon se khelta hai

mujhe mujrim kaha hai 'yas' us ne
batae wo ki aisa kya kiya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close