ab wo aangan wo ghar na khaprelen

ab wo aangan wo ghar na khaprelen
ped panchhi na phul aur belen

zindagi hum tere muhafiz hain
kyon na phir apni jaan par khelen

aasman se humakta rahta hai
chand ko lao god mein le len

apne ghar ki ghutan hi behtar hai
hijraton ka azab kyon jhelen

wazn par hon ghazal ke sab misre
pidhiyon se na utrin ye railen

kya jaraem ka sadd-e-bab hua
aur aabaad ho gain jelen

ab to sasti hai shairi 'parwin'
lagti rahti hain aae din selen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close