zara dekhiye to ghazab dha rahe hain ghazal ke bahane suna kya rahe hain kitabon mein jo phul murjha gae the baghawat ke parcham nazar aa rahe hain kabhi zindagi ka ujala hamin the hamin aankh mein ab chubhe ja rahe hain karen kaise chaaragaron pe bharosa maraz kaun sa hai bata kya rahe hain safina hamara khuda ke hawale hamein kya khabar bas chale ja rahe hain