ab wo farmate hain kab main ne dikhain aankhen aap ne muft mein ro ro ke sujain aankhen muztarib hum bhi rahe raat tadap kar kafi dil bhi bechain raha un ki jo aain aankhen husn-e-maghrib mein hamin saad-o-gesu ke siwa aur bhi kuchh nazar aaya to wo bhain aankhen raat mujh mulzam-e-pa-bos ko az-rah-e-karam sarzanish kuchh bhi na ki khud wo lajain aankhen dagh lag jaega daman-e-wafa mein 'hasrat' tum ne dekho jo kahin aur lagain aankhen