daman ki hawa yaad na zulfon ki ghata yaad ab kuchh bhi nahin soz-e-gham-e-dil ke siwa yaad sargarm-e-safar tha na raha kuchh bhi mujhe yaad naqsh-e-kaf-e-pa yaad na manzil ka pata yaad tum aa gae jab yaad to kuchh bhi na raha yaad kab tum ne bhulaya mujhe kab tum ne kiya yaad ab kuchh bhi nahin ek gham-e-dil ke siwa yaad phir bhi hai teri nim-nigahi ki ada yaad wo daur ki ab mujh ko zara bhi na raha yaad yun aalam-e-furqat mein tujhe main ne kiya yaad madhosh kiya jis ne mujhe soz-e-nawa se ab tak hai wahi naghma-e-be-saz-o-sada yaad allah re ye be-khudi-e-shauq ka aalam kuche mein tere aa ke tera ghar na raha yaad muddat hui khud apni nawa yaad na aai ehsas ko ab tak hai magar teri sada yaad yun subh rulane ke liye kam to nahin thi kyon sham-e-judai ka samay aa hi gaya yaad kuchh tujh ko jafaon ke siwa yaad nahin hai lekin nahin kuchh mujh ko duaon ke siwa yaad darta hun khabar gardish-e-dauran ko na ho jae ai dost ye kyon aaj mujhe tu ne kiya yaad nisyan ka 'hayat' is se talluq nahin kuchh bhi un ki bhi jafa yaad hai apni bhi wafa yaad