ab wo raaten aur wo baaten kahan chori chori wo mulaqaten kahan aati jati har baras hain aaj bhi wo magar pahli si barsaten kahan har nazar par haarna dil sau dafa aisi pyari ab wo hain maten kahan koi uncha ya ki nicha hai nahin hain banai rab ne ye zaten kahan ek din puchhoge tum is shahr mein kho gain 'nasir' kharabaaten kahan