chot par chot lagti jati hai yaad-e-mazi mujhe satati hai zindagi to ghamon ka daftar hai khwab mein bhi khushi na aati hai duriyan kash ye simat jatin ab judai sahi na jati hai hon wo raazi to bagh bagh hai dil wo jo ruthen to jaan jati hai jab se un se ulajh gain aankhen chiz koi mujhe na bhati hai umr meri bhi un ko lag jae lab pe 'nasir' dua ye aati hai