ab yaad teri dard ko bahla na sakegi main chahun bhi to mujh ko hansi aa na sakegi kuchh kam nahin ai dost bhulane ki musibat mana ki meri yaad bhi ab aa na sakegi bedad-e-karam chahiye hum sang-dilon ko ye kam-nigahi aap ki tadpa na sakegi bas mere hi dam tak hai ye hangama-e-ulfat phir gardish-e-alam ise dohra na sakegi kuchh zabt-o-sukun chahiye is rah mein 'sahir' be-tabi-e-dil husn ko sharma na sakegi