aziz kyon na ho phir gham tera khushi ki tarah ki ikhtiyar bhi mera hai be-kasi ki tarah khuda ke waste mat tod aasra dil ka ki main ne dali hai mar-mar ke zindagi ki tarah wo jis ko khilne se pahle hi tod le koi teri misal hai ai dost us kali ki tarah tumhaari kaun ada par karun yaqin ki tum kabhi kisi ki tarah ho kabhi kisi ki tarah nigah-e-naz mein us bakhshish-o-karam ke nisar ki tu ne hosh bhi bakhsha to be-khudi ki tarah na kyon ho naz tabahi-e-dil pe ai 'sahir' ki mujh ko dalna hai mit ke zindagi ki tarah