ab yahi behtar hai naqsh-e-ab hone de mujhe yunhi ruswa khatir-e-ahbab hone de mujhe nind aaankhon mein parindon ki tarah utri hai aaj ai nafas aahista chal gharqab hone de mujhe ek tukda abr ka phirta hai manind-e-ghazal ai meri chashm-e-hawas sairab hone de mujhe umr bhar mein ek kaam aisa to kar shauq-e-junun main agar dariya hun to be-ab hone de mujhe main bhi patthar ban ke zer-e-ab so jaun kahin kab hua aisa ki ab girdab hone de mujhe mehrban jangal ke sae tu hi de apni panah khwab aaankhon mein hain mahw-e-khwab hone de mujhe pyas kahti hai ki chal dariya utha laen yahin dard kahta hai ki ruk payab hone de mujhe