khugar-e-lazzat hun main kis shokh ki tazir ka dil ko hasrat hai ki pahlu dhundiye taqsir ka tha mera hangama-e-wahshat azal se peshtar arsh ki zanjir tukda hai meri zanjir ka mar gaya zindan mein jab main wahshi-e-atish-nafas bujh gaya shoala charagh-e-khana-e-zanjir ka sakht-jaani se dil-e-muztar jo tadpa waqt-e-qatl ban gaya sang-e-fasan qatil teri shamshir ka ho ke bismil aarzu-e-guftagu qatil se hai har dahan-e-zakhm naqsha hai lab-e-taqrir ka itni hai mashq-e-tasawwur intizar-e-qatl mein mardumak hai aankh mein jauhar teri shamshir ka jaan kar thandi hawa wo chain se sote to hain dam bharun kyun-kar na aah-e-sard-e-be-tasir ka hota hai insan paida waste fariyaad ke ye ishaara hai sarir-e-khama-e-tahrir ka ruh aa jati hai tan mein tegh-e-uryan dekh kar murgh-e-jaan bulbul hai bagh-e-jauhar-e-shamshir ka aaj tak aawaz aati hai dahan-e-gor se hai ye madfan kushta-e-tegh-e-lab-e-taqrir ka aur duna gham uthaya ki mitane ki jo fikr dagh-e-hasrat ho gaya likkha meri taqdir ka rafta rafta yun ghulaya qaid mein gham ne 'nazar' tauq-e-gardan panw mein halqa bana zanjir ka