ab ye kaifiyyat-e-dil hai ki chhupae na bane

ab ye kaifiyyat-e-dil hai ki chhupae na bane
aur jo wo puchhen ki kya hai to batae na bane

tum ko aazurdagi-e-dil ka maza kya malum
kash tum se bhi koi kaam banae na bane

tu ne kyun un ko gham-e-zist diya hai yarab
jin se ek ranj-e-mohabbat bhi uthae na bane

hae kya pas-e-mohabbat hai ki tanhai mein bhi
ashk aankhon mein rahe aur bahae na bane

ham-nashin puchh na is bazm ki rasmen ki jahan
mujh se wahshi ko bhi bin hosh mein aae na bane

waqt ki chaaragari yun to musallam hai magar
zakhm bhi wo hai ki ta-umr dabae na bane

ye bhi ek rasm-e-tamasha hai wahan ai 'ali'
dekhte rahiye magar aankh uthae na bane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close