ab ye sifat jahan mein nayab ho gai hai malmal badan pe us ke kam-khwab ho gai hai koi pata de us ko meri kitab-e-jaan ka duniya ke sath wo bhi ek bab ho gai hai phulon-bhari zamin ho khushbu-bhari hon sansen ye aarzu bhi meri kya khwab ho gai hai main bas ye kah raha hun rasm-e-wafa jahan mein bilkul nahin miti hai kamyab ho gai hai takmil pa raha hai ye kis ke ghar ka naqsha diwaren uth chuki hain mehrab ho gai hai chashme ubal rahe hain dasht o jabal se kaise kya ye zamin itni sairab ho gai hai