agar is shahr ki aab o hawa tabdil ho jae to phir sab kuchh ba-juz nam-e-khuda tabdil ho jae mere hone ne duniya mein sabhi kuchh to badal dala mujhe tu hi bata ab aur kya tabdil ho jae mujhe is ki khabar tak bhi na hone pae aur ek din safar ke darmiyan yun rasta tabdil ho jae ajab khwahish hai sar se aasman ka saya uth jae zamin aab-e-rawan mein zer-e-pa tabdil ho jae tilism-e-khwab se aankhen agar aazad ho jaen to zinda rahne ka sara maza tabdil ho jae