ab zara si bhi KHushi pe yar dukhne lagte hain

ab zara si bhi khushi pe yar dukhne lagte hain
muskura dene se bhi rukhsar dukhne lagte hain

rah-e-ulfat mein mile har aablon ko sah gaya
kya dukhenge zakhm ab khud khar dukhne lagte hain

chahta hun main ki tera nam har misre mein ho
zikr se tere magar ash'ar dukhne lagte hain

ji mein aata hai ki tujh pe chhed dun koi ghazal
yaad kuchh aata hai dil ke tar dukhne lagte hain

us ko lagta hai koi shikwa nahin mujh ko magar
kuchh na kah sakne se lab har bar dukhne lagte hain

baat to hogi nahin par dekhne aaya karo
warna apni qabr mein hum yar dukhne lagte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close