ab Tak bhi dard sahne ki aadat nahin hui

ab tak bhi dard sahne ki aadat nahin hui
yani ki tum ko yar mohabbat nahin hui

karte hain chal ai dil mere koshish ye aakhiri
doli mein bas wo baithi hai rukhsat nahin hui

kahna to tha par us ne yun dekha meri taraf
mere labon se koi bhi harakat nahin hui

budhiya jo ghar mein rahti thi jis din se mar gai
baad us ke ghar mein koi bhi barakat nahin hui

sach hai ki zikr-e-ishq se bachta raha hun main
sach ye bhi hai meri kabhi himmat nahin hui

yaadon mein us ki aaj bhi bahte hain ashk yun
jaise ye kal ki baat ho muddat nahin hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close