ab zindagi ka koi sahaara nahin raha sab ghair hain koi bhi hamara nahin raha aghyar ki nazar mein rahe misl-e-khar hum ab jina jagna bhi hamara nahin raha subai asbiyat ne khilae kuchh aise gul ab bhai bhai ka bhi sahaara nahin raha ab to hamari naw hai tughyaniyon ke beach nazdik-o-dur koi kinara nahin raha khun-e-jigar se sincha tha hum ne jo ek shajar han ab to wo shajar bhi hamara nahin raha chun chun ke tinke hum ne banaya tha aashiyan ye kya ghazab wo ghar bhi hamara nahin raha mazi ki kuchh hasin si yaaden hi rah gain aankhon mein aur koi nazara nahin raha ahl-e-chaman ye kahte hain aage badhun 'ghazal' ab koi haq chaman ye tumhaara nahin raha