aankh ki putli mein suraj sar mein kuchh sauda uga paniyon mein surkh paude dhup mein saya uga aasman ki bhid mein to is liye socha gaya is zamin ki chhatiyon se nur ka chashma uga nind mein chalne ki aadat khwab mein likhne ka fan ek jaisi baat hai to aatish-e-naghma uga main ne apni donon aankhon mein ugae hain pahad teri aankhon mein samundar tha wahan sahra uga sabza-e-begana ban kar ji liya to kya jiya khud ko bo kar is zamin se ek naya chehra uga dhup jaise qahqahe hain ret jaisi baat hai tu agar ghawwas hai to ret mein dariya uga ye zamin budhi hai us ko pith se apni utar aasman ko jeb mein rakh le nai duniya ka uga hum to khud izhaar hain apne zamane ka 'matin' bujh gae aawaz ke shoale naya lahja uga